Nushur Wahidi

nadaron ki eid

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
zardār namāzī eid ke din kapḌoñ meñ chamakte jaate haiñ
nādār musalmāñ masjid meñ jaate bhī huī sharmāte haiñ
malbūs pareshāñ dil ġhamgīñ iflās ke nashtar khāte haiñ
masjid ke farishte insāñ ko insān se kamtar paate haiñ
qur.āñ se dhuāñ sā uThtā hai īmān kā sar jhuk jaatā hai
tasbīh se uThte haiñ sho.ale sajdoñ ko pasīna aatā hai
vo vāsta jis ko fāqoñ roze roze be-bechāra kyā rakkhe
din dekh chukā shab dekh chukā qismat kā sahārā kyā rakhe
ḳhālī hoñ lahū se jis kī rageñ vo dil kā sharāra kyā rakkhe
īmān kī lazzat diiñ kā bharam iflās kā maarā kyā rakkhe
tārīk dikhā.ī detī hai duniyā ye mah-o-ḳhurshīd use
rozī kā sahārā ho jis din vo roz hai roz-e-eid use
ik mādar-e-muflis eid ke din bachchoñ ko liye bahlātī hai
sar un kā kabhī sahlātī hai narmī se kabhī samjhātī hai
qismat pe kabhī jhunjhlātī hai jiine se kabhī tañg aatī hai
zardār paḌosan ḳhush ho kar sab dekhtī hai aur khātī hai
paise kā pujārī duniyāñ meñ sach pūchho to insāñ ho na sakā
daulat kabhī īmāñ lā na sakī sarmāya musalmāñ ho na sakā
nau-ḳhez dulhan aur eid kā din kapḌoñ se numāyāñ bad-halī
kumhlā.e hue se ġhunche-tar murjhā.ī huī sī hariyālī
sūkhā huā chehra ġhurbat se utrī huī hoñToñ kī laalī
māyūs nazar TuuTā huā dil aur haath bhī paise se ḳhālī
shauhar kī nazar hasrat se bharī uThtī hai to ḳhud jhuk jaatī hai
ehsās-e-mohabbat kī duniyāñ us manzar se tharrātī hai
ḳhuuñ chuus rahā hai paudoñ kā ik phuul jo ḳhandāñ hotā hai
pāmāl banā kar sabzoñ ko ik sarv ḳharāma hotā hai
charbī mil kar insānoñ kī ik chehra daraḳhshāñ hotā hai
ye eid ke jalve bante haiñ jab ḳhūn-e-ġharībāñ hotā hai
muflis kī javānī eid ke din jab sub.h se aaheñ bhartī hai
duniyā ye amīroñ kī duniyā tab eid kī ḳhushiyāñ kartī hai
Top Urdushayar.com