koyal kī surīlī tānoñ par tham tham ke papīhā gaatā hai
hal ho ke havā kī lahroñ meñ sāvan kā mahīna aatā hai
ThanDī purvā kaalā bādal barsā to barastā jaatā hai
būñdoñ kī musalsal choToñ se pattā pattā tharrātā hai
aise meñ koī yaad aatā hai aise meñ koī yaad aatā hai
ghanghor ghaTā bijlī paanī dil siine meñ lahrātā hai
sahrā meñ havā bal khātī hai bādal ko sabā sankātī hai
paanī se zamīñ narmātī hai sabzoñ se fazā lahrātī hai
rim-jhim rim-jhim tham tham tham tham būñdoñ kī sadā jab aatī hai
har buuñd se dil ke tāroñ par ik choT sī paḌtī jaatī hai
aise meñ koī yaad aatā hai aise meñ koī yaad aatā hai
ghanghor ghaTā bijlī paanī dil siine meñ lahrātā hai
badlī ke dinoñ mai-ḳhvānoñ meñ sahbā kī ravānī kyā kahnā
rātoñ kī sharāb-o-shāhid se palkoñ kī girānī kyā kahnā
har vaqt suhānā kyā kahnā har raat suhānī kyā kahnā
barsāt ke bhīge lamhoñ meñ shādāb javānī kyā kahnā
aise meñ koī yaad aatā hai aise meñ koī yaad aatā hai
ghanghor ghaTā bijlī paanī dil siine meñ lahrātā hai
rañgīñ gulshan rañgī sahrā rañgī duniyā rañgī bāteñ
nāche kheleñ dauḌeñ bhāgeñ rātoñ jāgeñ nīñdoñ māteñ
kyā qahr hai zālim barsāteñ kyā qahr hai zālim barsāteñ
bhīgī duniyā bhīgī sāñseñ bhīge armāñ bhīgī rāteñ
aise meñ koī yaad aatā hai aise meñ koī yaad aatā hai
ghanghor ghaTā bijlī paanī dil siine meñ lahrātā hai
sāvan jo chaḌhā phir bāġhoñ aur jhūloñ kī bāteñ hotī haiñ
gulshan kī rañgīñ sairoñ meñ kuchh rañgīñ dhāteñ hotī haiñ
jab ahd-e-javānī kī ThanDī ThanDī barsāteñ hotī haiñ
matvālī umreñ hotī haiñ matvālī rāteñ hotī haiñ
aise meñ koī yaad aatā hai aise meñ koī yaad aatā hai
ghanghor ghaTā bijlī paanī dil siine meñ lahrātā hai