Nushur Wahidi

mahatma-gandhi

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
shab-e-asia ke añdhere meñ sar-e-rāh jis kī thī raushnī
vo gauhar kisī ne chhupā liyā vo diyā kisī ne bujhā diyā
jo shahīd-e-zauq-e-hayāt ho use kyuuñ kaho ki vo mar gayā
use yuuñ hī rahne do hashr tak ye janāza kis ne uThā diyā
tirī zindagī bhī charāġh thī terī garm-e-ġham bhī charāġh hai
kabhī ye charāġh jalā diyā kabhī vo charāġh jalā diyā
jise ziist se koī pyaar thā use zahr se sarokār thā
vahī ḳhāk-o-ḳhūñ meñ paḌā milā jise dard-e-dil ne mazā diyā
jise dushmanī pe ġhurūr thā use dostī se shikast dī
jo dhaḌak rahe the alag alag unheñ do diloñ ko milā diyā
jo na daaġh chehra miTā sake unheñ toḌnā hī thā aa.ina
jo ḳhazāna luuT sake nahīñ use rahzanoñ ne luTā diyā
vo hamesha ke liye chup hue magar ik jahāñ ko zabān do
vo hamesha ke liye so ga.e magar ik jahāñ ko jagā diyā
Top Urdushayar.com