Nushur Wahidi

aansu

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
jab se ki mohabbat huī pyāre haiñ ye aañsū
jaise ki merī aañkh ke taare haiñ ye aañsū
kahte ho ki lillāh ab aañsū na girāo
aise meñ ki jiine ke sahāre haiñ ye aañsū
haañ haañ unheñ dāmān-e-mohabbat meñ jagah do
āñkheñ haiñ mirī aur tumhāre haiñ ye aañsū
har ḳhūn-e-jigar ke liye tayyār huuñ ab bhī
haarā huuñ na maiñ aur na haare haiñ ye aañsū
sīmāb haiñ jab tak ki haiñ ye qalb-o-jigar meñ
āñkhoñ meñ jab aa.e to sitāre haiñ ye aañsū
bechain umañgoñ ne na samjhā hī na dekhā
betāb javānī ke nazāre haiñ ye aañsū
ġham vo hai jo har chiiz ko pighlā ke bahā de
paanī nahīñ sayyāl sharāre haiñ ye aañsū
ma.asūm nigāhoñ ko nibhāte haiñ ye aksar
poshīda mohabbat ke ishāre haiñ ye aañsū
ġham-ḳhvār haiñ mere liye shab-hā-e-alam meñ
āḳhir to ġham-e-dost ke maare haiñ ye aañsū
Top Urdushayar.com