Aslam Ansari

mai-shikasta-dili ai harif-e-zauq-e-numu

Aslam Ansari

Multan, Punjab, Pakistan

1939
mai-shikasta-dilī ai harīf-e-zauq-e-numū
kisī guzishta sadī ke utāq-e-vīrāñ se
vo ankabūt jo tār-e-nafas meñ jiite haiñ
na jaane kaise dar aa.e haiñ terī mahfil meñ
maiñ jāntā huuñ kise mil sakī kise na milī
vo gul-sarā.e bahisht-e-āfrīñ magar phir bhī
mire zuhūr meñ kuchh mumkināt mere haiñ
maiñ dekh paañv agar tujh se is ufuq se pare
Top Urdushayar.com