Chakbast Brij Narayan

watan ka rag

Chakbast Brij Narayan

Faizabad, Uttar pradesh, India

1882-1926
zamīn hind kī rutba meñ arsh-e-a.alā hai
ye home-rule kī ummīd kā ujālā hai
mrs-besant ne is aarzū ko paalā hai
faqīr qaum ke haiñ aur ye raag maalā hai
talab fuzūl hai kāñTe kī phuul ke badle
na leñ bahisht bhī ham home-rule ke badle
vatan-parast shahīdoñ kī ḳhaak lā.eñge
ham apnī aañkh kā surma use banā.eñge
ġharīb maañ ke liye dard-dukh uThā.eñge
yahī payām-e-vafā qaum ko sunā.eñge
talab fuzūl hai kāñTe kī phuul ke badle
na leñ bahisht bhī ham home-rule ke badle
hamāre vāste zanjīr-o-tauq gahnā hai
vafā ke shauq meñ gāñdhī ne jis ko pahnā hai
samajh liyā ki hameñ ranj-o-dard sahnā hai
magar zabāñ se kaheñge vahī jo kahnā hai
talab fuzūl hai kāñTe kī phuul ke badle
na leñ bahisht bhī ham home-rule ke badle
pahnāne vaale agar beḌiyāñ pahnā.eñge
ḳhushī se qaid ke goshe ko ham basā.eñge
jo santarī dar-e-zindāñ ke bhī so jā.eñge
ye raag gā ke unheñ niiñd se jagā.eñge
talab fuzūl hai kāñTe kī phuul ke badle
na leñ bahisht bhī ham home-rule ke badle
zabāñ ko band kiyā hai ye ġhāfiloñ ko hai naaz
zarā ragoñ meñ lahū kā bhī dekh leñ andāz
rahegā jaan ke ham-rāh dil kā soz-o-gudāz
chitā se aa.egī marne ke ba.ad ye āvāz
talab fuzūl hai kāñTe kī phuul ke badle
na leñ bahisht bhī ham home-rule ke badle
yahī duā hai vatan ke shikasta hāloñ kī
yahī umañg javānī ke naunihāloñ kī
jo rahnumā hai mohabbat pe miTne vāloñ kī
hameñ qasam hai usī ke saped bāloñ kī
talab fuzūl hai kāñTe kī phuul ke badle
na leñ bahisht bhī ham home-rule ke badle
yahī payām hai koyal kā baaġh ke andar
isī havā meñ hai gañgā kā zor āTh-pahr
hilāl-e-īd ne dī hai yahī diloñ ko ḳhabar
pukārtā hai himāla se abr uTh uTh kar
talab fuzūl hai kāñTe kī phuul ke badle
na leñ bahisht bhī ham home-rule ke badle
base hue haiñ mohabbat se jin kī qaum ke ghar
vatan kā paas hai un ko suhāg se baḌh kar
jo shīr-ḳhār haiñ hindostāñ ke laḳht-e-jigar
ye maañ ke duudh se likkhā hai un ke siine par
talab fuzūl hai kāñTe kī phuul ke badle
na leñ bahisht bhī ham home-rule ke badle
Top Urdushayar.com