hai dilātī yaad mai-noshī fazā barsāt kī
dil baḌhā jaatī hai aa aa kar ghaTā barsāt kī
bañdh ga.ī hai rahmat-e-haq se havā barsāt kī
naam khulne kā nahīñ letī ghaTā barsāt kī
ug rahā hai har taraf sabza dar-o-dīvār par
intihā garmī kī hai aur ibtidā barsāt kī
dekhnā sūkhī huī shāḳhoñ meñ bhī jaan aa ga.ī
haq meñ paudoñ ke masīhā hai havā barsāt kī
hoñ sharīk-e-bazm-e-mai zāhid bhī tauba toḌ kar
jhūmtī qible se uTThī hai ghaTā barsāt kī
asl to ye hai mai-o-māshūq kā jab lutf hai
chāñdnī ho raat ko din ko ghaTā barsāt kī
vo papīhoñ kī sadā.eñ aur vo moroñ kā raqs
vo havā-e-sarv aur kaalī ghaTā barsāt kī
paar utar jā.eñge bahr-e-ġham se riñd-e-bāda-nosh
le uḌegī kashtī-e-mai ko havā barsāt kī
ḳhud-baḳhud taaza umañgeñ josh par aane lagīñ
dil ko garmāne lagī ThanDī havā barsāt kī
vo duā.eñ mai-kashoñ kī aur vo lutf-e-intizār
haa.e kin nāzoñ se chaltī hai havā barsāt kī
maiñ ye samjhā abr ke rañgīn TukḌe dekh kar
taḳht pariyoñ ke uḌ laa.ī havā barsāt kī
naaz ho jis ko bahār-e-misr-o-shām-o-rūm par
sar-zamīn-e-hind meñ dekhe fazā barsāt kī