Chakbast Brij Narayan

marsiya gopal krishn gokhle

Chakbast Brij Narayan

Faizabad, Uttar pradesh, India

1882-1926
laraz rahā thā vatan jis ḳhayāl ke Dar se
vo aaj ḳhuun rulātā hai dīda-e-tar se
baḌhī huī thī nahūsat zavāl-e-paiham kī
tire zuhūr se taqdīr qaum kī chamkī
vatan ko tū ne sañvārā kis āb-o-tāb ke saath
sahar kā nuur baḌhe jaise āftāb ke saath
rahā mizāj meñ saudā-e-qaum ḳhū ho kar
vatan kā ishq rahā dil kī aarzū ho kar
vatan kī jaan pe kyā kyā tabāhiyāñ aa.iiñ
umañD umañD ke jihālat kī badliyāñ aa.iiñ
hadīs-e-qaum banī thī tirī zabāñ ke liye
zabāñ milī thī mohabbat kī dāstāñ ke liye
ġharīb hind ne tanhā nahīñ ye daaġh sahā
vatan se duur bhī tūfān ranj-o-ġham kā uThā
diloñ meñ naqsh haiñ ab tak tirī zabāñ ke suḳhan
hamārī raah meñ goyā charāġh haiñ raushan
ajal ke daam meñ aanā hai yuuñ to aalam ko
magar ye dil nahīñ tayyār tere mātam ko
rahegā rañj zamāne meñ yādgār tirā
vo kaun dil hai ki jis meñ nahīñ mazār tirā
Top Urdushayar.com