maut ne raat ke parde meñ kiyā kaisā vaar
raushani-e-sub.h vatan kī hai ki mātam kā ġhubār
ma.arka sard hai soyā hai vatan kā sardār
tantana sher kā baaqī nahīñ suunā hai kachhār
bekasī chhātī hai taqdīr phirī jaatī hai
qaum ke haath se talvār girī jaatī hai
uTh gayā daulat-e-nāmūs-e-vatan kā vāris
qaum marhūm ke e.azāz-e-kuhan kā vāris
jāñ-nisār-e-azalī sher-e-Deccan kā vāris
peshvāoñ ke garajte hue ran kā vāris
thī samā.ī huī punā kī bahār āñkhoñ meñ
āḳhirī daur kā baaqī thā ḳhumār āñkhoñ meñ
maut mahrāshTra kī thī yā tirī marne kī ḳhabar
murdanī chhā ga.ī insān to kyā patthar par
pattiyāñ jhuk ga.iiñ murjhā ga.e sahrā ke shajar
rah ga.e josh meñ bahte hue dariyā tham kar
sard-o-shādāb havā ruk ga.ī kohsāroñ kī
raushnī ghaT ga.ī do-chār ghaḌī tāroñ kī
thā nigahbān-e-vatan dabdaba-e-ām tirā
na digeñ paañv pe thā qaum ko paiġhām
dil raqīboñ ke larazte the ye thā kaam terā
niiñd se chauñk paḌe sun jo liyā naam terā
yaad kar ke tujhe mazlūm-e-vatan ro.eñge
banda-e-rasm-e-jafā chain se ab so.eñge
zindagī terī bahār chamanistān-e-vafā
aabrū tere liye qaum se paimān-e-vafā
āshiq-e-nām-e-vatan kushta-e-armān-e-vafā
mard-e-maidān-e-vafā jism-e-vafā jān-e-vafā
ho ga.ī nazr-e-vatan hastī-e-fānī terī
na to piirī rahī terī na javānī terī
auj-e-himmat pe rahā terī vafā kā ḳhurshed
maut ke ḳhauf pe ġhālib rahī ḳhidmat kī umed
ban gayā qaid kā farmān bhī rāhat kī naved
hue tārīkī-e-zindāñ meñ tire baal saped
phir rahā hai mirī nazroñ meñ sarāpā terā
āh-o-qaid-e-sitam aur buḌhāpā terā
mo.ajiza ashk-e-mohabbat kā dikhāyā tū ne
ek qatra se ye tūfān uThāyā tū ne
mulk ko hastī-e-bedār banāyā tū ne
jazba-e-qaum ko jaadū ko jagāyā tū ne
ik taḌap aa ga.ī sote hue armānoñ meñ
bijliyāñ kauñd ga.iiñ qaum ke vīrānoñ meñ
laash ko terī sañvāreñ na rafīqān-e-kuhan
ho jabīñ ke liye sandal kī jagah ḳhāk-e-vatan
tar huā hai jo shahīdoñ ke lahū se dāman
deñ usī kā tujhe punjab ke mazlūm kafan
shor-e-mātam na ho jhankār ho zanjīroñ kī
chāhiye qaum ke bhisham ko chitā tīroñ kī