sar meñ shauq kā saudā dekhā
dehlī ko ham ne bhī jā dekhā
jamunā-jī ke paaT ko dekhā
achchhe suthre ghaaT ko dekhā
palTan aur risāle dekhe
gore dekhe kaale dekhe
ḳhemoñ kā ik jañgal dekhā
us jañgal meñ mañgal dekhā
saḌkeñ thiiñ har kamp se jaarī
paanī thā har pump se jaarī
Daalī meñ nārañgī dekhī
mahfil meñ sārañgī dekhī
achchhe-achchhoñ ko bhaTkā dekhā
bhiiḌ meñ khāte jhaTkā dekhā
hāthī dekhe bhārī-bharkam
un kā chalnā kam kam tham tham
pur thā pahlū-e-masjid-e-jāme
raushaniyāñ thiiñ har-sū laame
surḳhī saḌak par kuTtī dekhī
saañs bhī bhiiḌ meñ ghuTtī dekhī
chaukī ik chau-lakhkhī dekhī
ḳhuub hī chakkhī-pakhkhī dekhī
ek kā hissa mann-o-salvā
ek kā hissa thoḌā halvā
avaj brīsh raajā dekhā
partav taḳht-o-tāj kā dekhā
pahuñche phāñd ke saat samundar
tahat meñ un ke bīsoñ bandar
auj-e-baḳht-e-mulāqī un kā
charḳh-e-haft-tabāaqī un kā
ham to un ke ḳhair-talab haiñ
ham kyā aise hī sab ke sab haiñ
egzibshan kī shaan anokhī
har shai umda har shai chokhī
jashn-e-azīm is saal huā hai
shāhī fort meñ ball huā hai
hai mash.hūr-e-kūcha-e-barzan
ball meñ nācheñ lady-corzon
hall meñ chamkīñ aa ke yakā-yak
zarrīñ thī poshāk jhkā-jhak
go raqqāsa-e-auj-e-falak thī
us meñ kahāñ ye nok-palak thī
kī hai ye bandish zehn-e-rasā ne
koī maane ḳhvāh na maane