Akbar Allahabadi

nai tahzib

Akbar Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1846-1921
ye maujūda tarīqe rāhi-e-mulk-e-adam hoñge
na.ī tahzīb hogī aur na.e sāmāñ baham hoñge
na.e unvān se zīnat dikhā.eñge hasīñ apnī
na aisā pech zulfoñ meñ na gesū meñ ye ḳham hoñge
na ḳhātūnoñ meñ rah jā.egī parde kī ye pābandī
na ghūñghaT is tarah se hājib-e-rū-e-sanam hoñge
badal jā.egā andāz-e-tabā.e daur-e-gardūñ se
na.ī sūrat kī ḳhushiyāñ aur na.e asbāb-e-ġham hoñge
na paidā hogī ḳhat-e-nasḳh se shān-e-adab-āgīñ
na nastālīq harf is taur se zeb-e-raqam hoñge
ḳhabar detī hai tahrīk-e-havā tabdīl-e-mausam kī
khileñge aur hī gul zamzame bulbul ke kam hoñge
aqā.ed par qayāmat aa.egī tarmīm-e-millat se
nayā ka.aba banegā maġhribī putle sanam hoñge
bahut hoñge muġhannī naġhma-e-taqlīd europe ke
magar bejoḌ hoñge is liye be-tāl-o-sam hoñge
hamārī istelāhoñ se zabāñ nā-āshnā hogī
luġhāt-e-maġhribī bāzār kī bhāshā se zam hoñge
badal jā.egā meyār-e-sharāfat chashm-e-duniyā meñ
ziyāda the jo apne zo.am meñ vo sab se kam hoñge
guzishta azmatoñ ke tazkire bhī rah na jā.eñge
kitāboñ hī meñ dafn afsāna-e-jāh-o-hasham hoñge
kisī ko is taġhayyur kā na his hogā na ġham hogā
hue jis saaz se paidā usī ke zer-o-bam hoñge
tumheñ is inqilāb-e-dahr kā kyā ġham hai ai 'akbar'
bahut nazdīk haiñ vo din ki tum hoge na ham hoñge
Top Urdushayar.com