māh-e-rahmat kī ḳhabar kis ke liye laayā hai tū
kaun terā muntazir thā kis liye aayā hai tū
dekhne hoñge ye din tū ne kabhī sochā na thā
dekh vo manzar jo is se peshtar dekhā na thā
ab kisī ko ātish-e-dozaḳh kā koī Dar nahīñ
bārish-e-rahmat meñ bhī dāman kisī kā tar nahīñ
jab ḳhudā kā Dar nahīñ to fikr-e-uqbā kyuuñ rahe
fāriġh-ul-bālī meñ koī bhūkā pyāsā kyuuñ rahe
dekh le is daur meñ haiñ aise roze-dār bhī
khāte haiñ hotel meñ din bhar karte haiñ iftār bhī