Mukhtasar Azmi

beTa biswin sadi ka

Mukhtasar Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1939-2009
beTe ko pahle kahte the āñkhoñ kā nuur hai
lekin ye ab hamārī nazar kā qusūr hai
kuchh dil se ehtirām nahīñ vāldain kā
bezār apne diin se maz.hab se duur hai
collage to darkinār jo haiñ diinī madrase
ādāb-e-maġhribī kā yahāñ bhī zuhūr hai
kuchh maqsad-e-hayāt na ḳhauf-e-ḳhudā use
jannat kī aarzū hai na mushtāq-e-hūr hai
b-a meñ paḌh rahā hai ye knowledge kā haal hai
naqshe meñ lucknow ko kahe kanpur hai
beTe meñ chāhe laakh ḳharābī ho 'muḳhtasar'
shādī ke vaqt bā.is-e-income zarūr hai
Top Urdushayar.com