Mukhtasar Azmi

kutton se KHitab

Mukhtasar Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1939-2009
fikr-e-anjām na kar ghuum ke sansār meñ bhauñk
radio T-v meñ aur media star meñ bhauñk
park meñ road par aur kūcha-o-bāzār meñ bhauñk
sard ho jazba-e-millat to na be-kār meñ bhauñk
roz be-ḳhauf-o-ḳhatar mahfil-e-aġhyār meñ bhauñk
mauqa mil jaa.e to europe ke seminar meñ bhauñk
rāt-bhar saadh le dam sub.h ke aḳhbār meñ bhauñk
dhārmik lai meñ mahāpurshoñ ke darbār meñ bhauñk
dum na terī uThe auhām-parastoñ kī taraf
aañkh terī na rahe rām-parastoñ kī taraf
ruḳh tirā sīdhā ho islām-parastoñ kī taraf
bhuul kar dekh na asnām-parastoñ kī taraf
jab tirī bhauñk kī europe se sadā aatī hai
asian qaum tirī kitnā sukūñ paatī hai
Top Urdushayar.com