bas ye nahīñ hasīn-o-ḳhush-atvār chāhiye
laḌkī hasīn sūrat-e-gulnār chāhiye
karte haiñ aap agar mirī shādī kī bāt-chīt
fihrist se na jur.at-e-inkār chāhiye
suniye baġhaur nikle jo merī zabān se
shādī se peshtar mujhe ik car chāhiye
phir is ke saath saath ye lāzim hai aap ko
achchhā driver koī hushiyār chāhiye
shādī ke ba.ad hī mire rahne ke vāste
ik ḳhushnumā flat bhī tayyār chāhiye
ḳhidmat ko merī chand mulāzim bhī hoñ zarūr
buldog ek sher sā ḳhuñḳhār chāhiye
har saal mere naam se chanda bharā kareñ
paḌhne ke vāste mujhe aḳhbār chāhiye
shādī ke ba.ad ḳhatm na hogā ye silsila
ya.anī tamām umr ye bevhār chāhiye