Shakeb Jalali

mujrim

Shakeb Jalali

Jalali, Uttar pradesh, India

1934-1966
yahī rasta mirī manzil kī taraf jaatā hai
jis ke fōtpath faqīroñ se aTe rahte haiñ
haDDiyāñ jism kī niklī huī pichke hue gaal
maile sar meñ jueñ, a.azā se Tapaktā huā koḌh
chand bevāoñ ke madqūq se piile chehre
kuchh havas-kār nigāhoñ meñ utar jaate haiñ
shiddat-e-fāqa se rote hue nanhe bachche
ek roTī ke nivāle se bahal jaate haiñ
chand bad-zeb se shohrat-zada insāñ aksar
apnī daulat o saḳhāvat kī numā.ish ke liye
kyā faqat rahm kī haqdār haiñ nañgī rūheñ?
kyuuñ ye insānoñ pe insān taras khāte haiñ?
Top Urdushayar.com