markaz-e-ilm-o-hunar mai-kada-e-soz-o-sāz
sajda-e-shauq se ābād hai rindoñ kā haram
jām-dar-jām hai sahbā-e-junūn-e-hikmat
dekhnā ho to koī dekh le saaqī kā karam
mai-gusārī kā ye andāz na dekhā ham ne
sab ke dukh dard kā ehsās nashe kā aalam
ek hī aag se har ruuh jalā paatī hai
ho ga.e ek hī sho.ale meñ sharāre mudġham
apne har daur kī tahrīk kā ā.īna liye
phir uThātā hai alī-gaḌh na.ī duniyā meñ qadam
raah dushvār meñ ik kāfila-e-nik.hat-o-nūr
sañg-e-ḳhārā kī chaTānoñ ke muqābil hai khaḌā
TuuT jā.egā bahut jald tilism-e-imroz
nūr-e-fardā ke tabassum meñ badal jā.egā