ab raat Dhal rahī hai koī do kā vaqt hai
āñkhoñ meñ niiñd jhuul rahī hai abhī talak
lekin maiñ sāl-e-nau ke liye jāgtā rahūñ
ummīd ke charāġh jalā.ūñ na.e na.e
baiThā huuñ ḳhāmushī kī navāoñ ko chheḌ kar
apne ġhamoñ se aaj bhī fursat nahīñ mujhe
palkoñ pe aaj bhī to larazte haiñ ye diye
lekin unhīñ ġhamoñ se nayā āstāñ banā
vaj.h-e-sukūñ hai aaj ḳhayāl-e-gurez-pā
TuuTe hue diloñ ko sahārā bhī de sakā
jab dil kī dhaḌkanoñ se mile dars-e-āgahī
phir kis liye junūñ meñ koī intishār ho
nā-kāmiyāñ hayāt kī sharmā na jā.eñgī
is des kī fazāoñ se gar ham ko pyaar ho
in mai-kadoñ se kal bhī na thā mujh ko vāsta
jin meñ lahū ke jaam uThāte haiñ hukmarāñ
ehsās kī nigāh magar dekhtī hai ab
kuchh aur tez-gām huā kārvān-e-shauq
aur sāl-e-nau bhī saath isī kārvāñ ke hai
in jhoñpaḌoñ meñ aaj charāġhāñ nahīñ to kyā
do-chār saal aur bhī imkāñ nahīñ to kyā
fasl-e-bahār aa.egī jhūmeñgī Dāliyāñ
phūloñ meñ paat paat meñ rañgat samā.egī
hoñge kabhī to jām-ba-kaf ḳhās-o-ām sab
har har nigāh sāġhar-o-mīnā uThā.egī
zulf-e-hayāt shauq se parcham uḌā.egī
maiñ aaj sāl-e-nau ke liye jāgtā rahūñ
ummīd ke charāġh jalā.ūñ na.e na.e