Anjum Azmi

dewdas

Anjum Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1941
zindagī ishq kī vahshat-bharā afsāna thī
mere hāthoñ meñ vo ik zahr kā paimāna thī
ruuh kā ġham ma-e-gulfām se kam kyā hotā
koī tiryāk ba-juz vasl-e-sanam kyā hotā
kho ga.ī 'pārbatī' rotī rahī 'chandrmukhī'
zindagī luTtī rahī rāh-guzāroñ meñ mirī
ġhamgusāroñ kī bhī yaad aa.ī magar bhuul gayā
us kī bāñhoñ ke sivā kuchh na mujhe yaad rahā
ik ubhartī rahī tasvīr ḳhalā meñ barsoñ
maiñ akelā hī phirā dasht-e-vafā meñ barsoñ
jal bujhā jism ke hamrāh dil-e-sozāñ tak
jaan dene chalā aayā huuñ dar-e-jānāñ tak
mar rahūñ jaise be-bas-o-lāchār mare
kyā qayāmat hai ki yuuñ ishq kā bīmār mare
nā-umīdī hai ki ab tāqat-e-dīdār ga.ī
ruḳh-e-jānāñ kī havas rūh-e-giraftār ga.ī
raat lo ḳhatm huī aur zabāñ band huī
mujh ko ma.alūm thā ḳhāmosh saverā hogā
log pheñk ā.eñge mujh ko jahāñ us marghaT par
maut kā chhāyā huā ghor añdherā hogā
chiil kavvoñ ne magar laash ke TukḌe kar ke
har taraf kūcha-e-jānāñ meñ bikherā hogā
Top Urdushayar.com