aaj is bazm meñ aa.e ho baḌī dhuum ke saath
be-ḳhudī mahv-e-nazāra hai tumhārī ḳhātir
yaad aate haiñ vo ayyām-e-judā.ī ham ko
jinheñ hañs hañs ke guzāra hai tumhārī ḳhātir
go ma-e-lutf se ḳhālī nahīñ pindār-e-junūñ
yaañ ġham-e-ishq kā yaarā hai tumhārī ḳhātir
rañj uThānā to koī baat nahīñ hai lekin
zahr piinā bhī gavārā hai tumhārī ḳhātir
haar aur jiit ke mafhūm meñ kyā rakkhā hai
jiit kar bhī koī haarā hai tumhārī ḳhātir
turk-e-shīrāz ho tum hafiz-e-shīrāz huuñ maiñ
ab samarqand-o-buḳhārā hai tumhārī ḳhātir
tum jo aa.e ho to is ziist kī lazzat pā kar
ham ne aalam ko sañvārā hai tumhārī ḳhātir
aaj ham ne mah-o-anjum ko bhī zahmat dī hai
āsmānoñ se utārā hai tumhārī ḳhātir
lāla-o-gul ko bahāroñ ko saman-zāroñ ko
dīda-o-dil ne pukārā hai tumhārī ḳhātir
phir yahāñ shīsha-o-sāġhar se charāġhāñ hogā
phir koī anjuman-ārā hai tumhārī ḳhātir