Anjum Azmi

sharabi

Anjum Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1941
ye mai-kada hai tirā aur maiñ sharābī huuñ
sambhāl sāqiyā miinā ko apne hāthoñ meñ
mujhe bhī aaj ma-e-arġhavāñ kī hājat hai
sarak rahe haiñ ruḳh-e-kā.enāt se parde
dil-o-dimāġh meñ ik raushnī sī dar aa.ī
har ek ghūñT pe kuchh zindagī ke raaz khule
muhīt ho ga.ī kaun-o-makāñ kī gīrā.ī
magar ye jaam ke andar bhī kaisī tārīkī
bahut hī talḳh hai apnā ḳhumār-e-bāda-kashī
kahīñ charāġh bujhā jal uThe kahīñ fānūs
vahī tazād vahī hai kashākash-e-hastī
hayāt aaj kahāñ khīñch kar mujhe laa.ī
sambhāl sāqiyā miinā ko apne hāthoñ meñ
hayāt ke liye koī sharāb hai ki nahīñ
bas ek baar to aisī pilā de ai saaqī
ki hosh aa na sake tere piine vaale ko
Top Urdushayar.com