Anjum Azmi

shair

Anjum Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1941
na jaane kitne hī maazī ke ḳhvāb bikhre haiñ
fasurda bhīgī huī sogvār palkoñ par
junūñ hai yā ki ḳhirad is nigāh kā mafhūm
ḳhalā meñ DhūñD rahā hai koī na jaane kyā
nigāh dekh rahī haiñ pare zamāne se
hai khoyā khoyā huā ramz-e-zindagī goyā
fasāna-e-ġham-e-jānāñ hai yā ġham-e-duniyā
machal rahe haiñ in āñkhoñ meñ aarzū ke sharār
in āñsuoñ meñ numāyāñ haiñ vaqt kī lahreñ
sunā.ī detī hai rah rah ke zindagī kī pukār
laboñ ko gar milī jumbish to naġhma phuuT paḌā
kabhī nashāt kā jaadū kabhī koī ġham hai
ḳhamoshiyoñ meñ hai īmān-o-āgahī kī jilā
umīd-o-bīm se aage nayā hī aalam hai
sahar kā nuur hai us kī nigāh meñ 'anjum'
zamīñ ke husn ko shādāb karne aayā hai
Top Urdushayar.com