baat kahnā nahīñ aatī mujhe likhnā nahīñ aatā
satr kahne kā hunar nazm banāne kā salīqa
koī sūrat fan-e-arz-e-hunar aa jaa.e mujhe bhī
shaam ko shaam kahūñ aur nigāhoñ pe añdhere utar aa.eñ
mere maulā terā banda tire ikrām ke laa.eq nahīñ lekin
merā bachpan tire in.aam kā shā.eq hai abhī tak
kyā kahūñ koī bhī shai asl pe qaa.em nahīñ rahtī
baat pairā.e ke sahrā meñ nikal jaa.e to ghar lauT na paa.e
mere maulā mujhe kuchh bhī nahīñ aatā
baat karne kā hunar sher sunāne kā salīqa