kāñptī haiñ hoñToñ par
kitnī an-kahī bāteñ
naam hai talab jis kā
mustaqil harārat hai
hasrat-o-tamannā ke
dā.imī masāfat hai
be-bas ārzūoñ se
dhaḌkanoñ kī sarhad ke
us taraf bhī imkāñ hai
aañkh jam bhī jaa.e to
saañs tham bhī jaa.e to
umr sirf mohlat hai
ishq lamha-e-dā.em