pas-e-taqrīb-e-mulāqāt yahāñ shaam Dhale
der tak phailī rahegī tirī shirkat kī mahak
mutarannim se raheñge ye havā ke goshe
jin meñ ġhaltīda hai ab lahn-e-takallum terā
yaad rah jā.egī is sehn ko ye shām-e-fusūñ
jal ga.ī thiiñ ka.ī an-dekhī suhānī sham.eñ
be-niyāzāna taḳhātub meñ pareshāñ sā tire
gosha-e-lab pe koī harf shanāsā.ī kā
tujh se ye rabt ki mauhūm bhī mafhūm bhī hai
tū ki hai mujh se tirī ziist kā har rañg judā
husn se rābta-e-ishq ke mazmūñ haiñ bahut
is latāfat-kada-e-kaif meñ afsūñ haiñ bahut
na tire jism kā sandal na tire lab ke gulāb
na tirī zulf kī shabnam hai is ehsās kā naam
aaj phir jāgtī rah jā.egī har baam tale
vahī shādāb sī hasrat vahī āsūda kasak