phūTī lab-e-nāzuk se vo ik shoḳh sī laalī
thoḌī sī shafaq āriz-e-tābāñ ne churā lī
aur chāñd ne sharmā ke kahā eid-mubārak
chheḌā vo hasīñ shab ne tamannāoñ kā jaadū
lahrā ga.ī ḳhalvat-kada-e-nāz meñ ḳhushbū
dī kis ne dar-e-dil pe sadā eid-mubārak
jhalkā ruḳh-e-raushan pe hasīñ sub.h kā partav
gulnār hathelī pe hinā dene lagī lau
paiġhām liye aa.ī sabā eid-mubārak
sakhiyoñ ne ḳhayāloñ ke hasīñ rañg ubhāre
jaage ka.ī ḳhvābīda se jazbāt ke dhāre
māhaul huā naġhma-navā eid-mubārak
sadqe tire ai rūh-e-adā paik-e-latāfat
ḳhush aa.e tire husn ko ye kaif kī saa.at
ai jān-e-hayā jān-e-vafā eid-mubārak