Abdul Ahad Saaz

alwida

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950
laḌakpan kī rafīq ai ham-navā-e-naġhma-e-tiflī
hamārī gyārah saala zindagī kī dil-nashīñ vaadī
hamāre dāman-e-afkār par terā hī saayā hai
ḳhushā schōl ki ham ne tujhī se faiz paayā hai
hamārī dhaḌkaneñ tere hī bām-o-dar meñ pinhāñ haiñ
tire māhaul meñ ham sab ke mahsūsāt ġhaltāñ haiñ
hamāre vāste tū ek lāfānī masarrat hai
hameñ schōl tere zarre zarre se mohabbat hai
tire āġhosh meñ bachpan ke ham ne din bitā.e haiñ
tire āñgan meñ kitnā ro.e kitnā muskurā.e haiñ
tire saa.e meñ bachpan kī suhānī yādgāreñ haiñ
hamāre ahd-e-gum-gashta ke lamhoñ kī qatāreñ haiñ
yahāñ se dostī kī kitnī tāmīreñ uThā.ī haiñ
rafāqat kī hayāt-afroz duniyā.eñ basā.ī haiñ
tire pahlū meñ kitnī hī anokhī vārdāteñ haiñ
tire hoñToñ pe kitnī hī tabassum-rez bāteñ haiñ
tire dāman se ham ne qīmtī lamhāt paa.e haiñ
ḳhulūs-o-unsiyat ke be-bahā jazbāt paa.e haiñ
tujhe pā kar jo paayā hai use ham kho nahīñ sakte
tire haiñ tere apne haiñ parā.e ho nahīñ sakte
na.e sāzoñ pe jab tere tarāne gaa.e jā.eñge
na.e ġhunche tire gulzār meñ jab muskurā.eñge
na.e sāthī tire āñgan meñ jab dhūmeñ machā.eñge
to shāyad ham bhī ai schōl tujh ko yaad ā.eñge
ye maanā zindagī ham ko bahut masrūf kar degī
hamāre zehn ko duniyā ke andāzoñ se bhar degī
ġham-e-daurāñ se jab bhī fursat-e-yak-lamha pā.eñge
tirī yādoñ meñ kho jā.eñge ḳhud ko bhuul jā.eñge
Top Urdushayar.com