nayā saal aayā nayā saal aayā
umīdoñ kā dil meñ diyā jagmagāyā
na.e saal kā ham ko paiġhām kyā hai
na.e saal meñ ab nayā kaam kyā hai
purānā tarīqa badalnā hai ham ko
taraqqī kī rāhoñ pe chalnā hai ham ko
añdhere ke dāman ko ham chaak kar deñ
vatan kī fazāoñ ko nūr-e-sahar deñ
suneñ dard-mandoñ kī fariyād kyā hai
ġharīboñ pe dar-asl uftād kyā hai
uTheñ aur dukhiyoñ kā dukh duur kar deñ
masarrat se har dil ko ma.amūr kar deñ
na.ī raushnī se fazā jagmagā.eñ
na.e saaz par ab na.e giit gaa.eñ