jab un kā zikr hamārī zabāñ pe aatā hai
to jaise dil meñ koī ik diyā jalātā hai
vo jin kā ilm kī duniyā meñ bol baalā hai
jahān-e-ilm meñ phailā huā ujālā hai
batā.eñ kyā tumheñ zākir husain kaise the
vo phuul ban ke hamāre chaman meñ rahte the
chaman udaas hai vo zīnat-e-chaman hai kahāñ
is anjuman meñ vo ab sadr-e-anjuman hai kahāñ
sunā.ī detī nahīñ ab vo pur-asar-taqrīr
nazar se ab huī ojhal vo azm kī tasvīr
hamesha rahtā thā insāniyat kā paas unheñ
na mushkilāt meñ hotā kabhī hirās unheñ
moallimoñ ko vo dete the daras mehr-o-vafā
vo chāhte the madrasoñ meñ ḳhush-gavār fazā
vo chāhte the phaleñ phūleñ naunihāl-e-chaman
na.e shagūfoñ se ho pur-bahār ab gulshan