Syeda Farhat

papa miyan

Syeda Farhat

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1938-2003

paapā miyāñ zamāne meñ kyā naam kar ga.e

tārīḳh-e-hind meñ vo nayā kaam kar ga.e

mahrūm-e-ilm-o-fan thiiñ musalmāñ thiiñ laḌkiyāñ

māhaul ghuTan se pareshāñ thiiñ laḌkiyāñ

ta.alīm auratoñ ko mile ye gunāh thā

kyā kahiye kaisā qaum hāl-e-tabāh thā

paapā miyāñ ke azm ne ye kar dikhāyā kaam

jis ko sabhī samajh rahe the ik ḳhayāl-e-ḳhām

kyā kyā muḳhālifat na tūfān sah ga.e

vo kar dikhāyā log sabhī dañg rah ga.e

begam bhī jān-o-dil se thiiñ un rafīq-e-kār

ehsān laḌkiyoñ pe haiñ un ke bhī be-shumār

paudā jo kal thā ab shajar-e-sāya-dār hai

paapā miyāñ ke baaġh meñ kaisī bahār hai

phūlā-phalā rahe ye gulistān-e-ilm-o-fan

qaa.em rahe zamāne meñ paapā anjuman

Top Urdushayar.com