des huā āzād hamārā ghar ghar diip jalā.eñge
mil kar jashn manāeñge ham giit ḳhushī ke gā.eñge
apne baaġh ke maalī ham haiñ ham hī ḳhud rakhvāle haiñ
na.e nirāle phūloñ se ham phulvārī mahkā.eñge
bhuuk ġharībī aur be-kārī duur kareñge bhārat se
des ke kone kone meñ ham ḳhush-hālī phailā.eñge
tan man ke sab rog miTā kar duur kareñge bīmārī
des ke rahne vāloñ ko ham sehat-mand banā.eñge
diin dharm ke naam pe jhagḌā koī na hone pā.egā
diin dharm kī sachchī bāteñ insāñ ko samjhā.eñge
amn kī devī ke haiñ pujārī amn ke ham parchārak haiñ
amn sandesa le kar sāthī nagar nagar ham jā.eñge