Syeda Farhat

sarsayyad ahmad KHan

Syeda Farhat

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1938-2003
qaum sarsayyad kā ye ehsāñ bhulā saktī nahīñ
yaad un kī gardish-e-daurāñ miTā saktī nahīñ
qaum kī islāh-o-ḳhidmat meñ hazāroñ dukh sahe
āñdhiy.oñ kī zad pe tum karte rahe raushan diye
aap ne daur-e-jahālat se nikālā qaum ko
ilm aur tahzīb ke sāñche meñ Dhālā qaum ko
ḳhūn-e-dil se aap ne sīñchā hamārā ye chaman
jis meñ khulte aaj bhī haiñ ġhuncha-hā-e-ilm-o-fan
dars-gāh-e-ilm-o-dānish hai ye un kī yādgār
jo hamāre vāste hai bā.is-e-sad-iftiḳhār
aap kā raushan rahegā tā-abad duniyā meñ naam
qaum ke sab naunihāloñ ko hai sayyad kā payām
tum ko mere ḳhvāb kī ta.abīr honā chāhiye
ahl-e-ilm-o-sāhab-e-tadbīr honā chāhiye
Top Urdushayar.com