ammī javāb dījiye mere savāl kā
aatā nahīñ samajh meñ ki ye kyā hai mājrā
kartī haiñ aap ham ko nasīhat ye baar baar
hotā hai jhuuT bolne vaalā gunāhgār
kyā baat hai magar ki jo ham-sā.ī aa.ī thī
nanhe kī umr aap ne kyuuñ kam batā.ī thī
abbā the ghar meñ aaj magar un ke dost se
ghar meñ nahīñ haiñ vo ye kahlvāyā kis liye
chāchā miThā.ī laa.e the parsoñ jo shaam ko
dī thī hameñ to aap ne thoḌī sī naam ko
us ko chhupā ki kahne lagīñ ḳhatm ho ga.ī
us vaqt jhuuT kahnā na thī baat kyā burī
ammī hameñ na ġhusse se āñkheñ dikhā.iye
kyā vāqa.ī hai jhuuT burā ye batā.iye