suunī hai rahguzār-e-ġhazal kah rahī huuñ maiñ
bole hai chaukīdār ġhazal kah rahī huuñ maiñ
fursat nahīñ jo din ko maiñ fikr-e-suḳhan karūñ
rātoñ ko maarā maar ġhazal kah rahī huuñ maiñ
aa.ī jo niiñd ḳhvāb meñ bazm-e-suḳhan sajī
ab ho ke hoshiyār ġhazal kah rahī huuñ maiñ
hai machchharoñ ne kaaT ke behāl kar diyā
ab ho ke sharmsār ġhazal kah rahī huuñ maiñ
kyuuñ bhūñkte haiñ zor se kutte paḌos ke
in par ḳhudā kī maar ġhazal kah rahī huuñ maiñ
phir non tel lakḌī kā aane lagā ḳhayāl
ab ho ke hoshiyār ġhazal kah rahī huuñ maiñ
ḳhātūn-e-ḳhāna-dār bhī huuñ shā.era bhī huuñ
haiñ kaam be-shumār ġhazal kah rahī huuñ maiñ