shā.era bhī thī ḳhatība bhī siyāsat-dāñ bhī thī
naujavānān-e-vatan kī tū chahetī maañ bhī thī
tū rahī sāz-e-mohabbat par hamesha naġhma-ḳhvāñ
hai amar tū aaj bhī ai bulbul-e-hindustāñ
mādar-e-hindostāñ kā tujh se qaa.em hai vaqār
tabqa-e-nisvāñ ko terī zaat vaj.h-e-iftiḳhār
hind kī tahrīk-e-āzādī meñ terā naam hai
qābil-e-taqlīd terā vo misālī kaam hai
jazba-e-insāniyat se dil tirā ma.amūr thā
tere chehre se ayaañ rūhāniyat kā nuur thā
tere naġhmoñ kī latāfat vo tire dil kā gudāz
kaisī pur-tāsīr thī terī navā-e-dil-navāz
har taraf jaadū jagātī thiiñ vo taqrīreñ tirī
sachche motī roltī rahtī thiiñ tahrīreñ tirī