dekho bhayyā maan bhī jaao
merā gharauñdā yuuñ na girāo
mehnat se hai maiñ ne banāyā
apnī guḌiyā ko hai biThāyā
DaañT ammī se khilvā dūñgī
abbā se maiñ piTvā dūñgī
merā gharauñdā Dhāyā tum ne
merā khel miTāyā tum ne
rotī huuñ to hañste ho tum
baḌe hī achchhe lagte ho tum
maiñ bhī geñd tumhārī le kar
pheñkūñgī ab chhat ke uupar
ro.o.ge to ḳhuub hañsūñgī
koī khilaunā tumheñ na dūñgī
achchhā dekho muñh na bisoro
saarī chīzeñ aa ke sameTo
aao gharauñdā phir se banā.eñ
guḌiyā guDDā is meñ biThā.eñ
aao kar deñ ḳhatm laḌā.ī
maiñ huuñ bahan tum mere bhaa.ī