Syeda Farhat

ustad ka DanDa

Syeda Farhat

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1938-2003
chhīn le haath se ustād ke DañDā koī
badle DanDe ke khilā de hameñ anDā koī
anDā khāne se lahū jism meñ baḌh jaatā hai
chust hotā hai badan zehn nikhar jaatā hai
DañDā lekin hameñ kyā fā.eda pahuñchātā hai
jism ko detā hai dukh zehn ko uljhātā hai
chhīn le haath se ustād ke DañDā koī
badle DanDe ke khilā de hameñ anDā koī
kis qadar dete haiñ dukh ham ko ye haa.e DanDe
saarī duniyā se ḳhudā ab to miTā de DanDe
hai vo ustād burā jo ki jamā.e DanDe
hai vo shāgird bhī buddhū ki jo khaa.e DanDe
chhīn le haath se ustād ke DañDā koī
badle DanDe ke khilā de hameñ anDā koī
ab na schōl meñ DanDe kī ḳhudā.ī hogī
saare DanDoñ kī zamāne se safā.ī hogī
zor se DanDe ke hargiz na paḌhā.ī hogī
ab to schōl meñ anDoñ kī khilā.ī hogī
chhīn le haath se ustād ke DañDā koī
badle DanDe ke khilā de hameñ anDā koī
lad gayā ab to vo anDoñ kā zamāna sāhab
ho chukā ab to tarīqa ye purānā sāhab
jo mohabbat kā na gur aap ne jaanā sāhab
phir to dushvār huā paḌhnā paḌhānā sāhab
chhīn le haath se ustād ke DañDā koī
badle DanDe ke khilā de hameñ anDā koī
sar pe DanDe paḌeñ hargiz na ye uftād aa.e
tālib-e-ilm na kartā huā fariyād aa.e
kaash bhūlā huā shafqat kā sabaq yaad aa.e
baap ke ruup meñ schōl meñ ustād aa.e
chhīn le haath se ustād ke DañDā koī
badle DanDe ke khilā de hameñ anDā koī
Top Urdushayar.com