mirī mastī meñ bhī ab hosh hī kā taur hai saaqī
tire sāġhar meñ ye sahbā nahīñ kuchh aur hai saaqī
bhaḌaktī jā rahī hai dam-ba-dam ik aag sī dil meñ
ye kaise jaam haiñ saaqī ye kaisā daur hai saaqī
vo shai de jis se niiñd aa jaa.e aql-e-fitna-parvar ko
ki dil āzurda-e-tam.īz-e-lutf-o-jaur hai saaqī
kahīñ ik riñd aur vāmāñda-e-afkār tanhā.ī
kahīñ mahfil kī mahfil taur se be-taur hai saaqī
javānī aur yuuñ ghir jaa.e tūfān-e-havādis meñ
ḳhudā rakkhe abhī to be-ḳhudī kā daur hai saaqī
chhalaktī hai jo tere jaam se us mai kā kyā kahnā
tire shādāb hoñToñ kī magar kuchh aur hai saaqī
mujhe piine de piine de ki tere jām-e-lālīñ meñ
abhī kuchh aur hai kuchh aur hai kuchh aur hai saaqī