javānī kī añdherī raat hai zulmat kā tūfāñ hai
mirī rāhoñ se nūr-e-māh-o-anjum tak gurezāñ hai
ġham o hirmāñ kī yūrish hai masā.ib kī ghaTā.eñ haiñ
junūñ kī fitna-ḳhezī husn kī ḳhūnīñ adā.eñ haiñ
fazā meñ maut ke tārīk saa.e thartharāte haiñ
havā ke sard jhoñke qalb par ḳhanjar chalāte haiñ
zamīñ chīñ-bar-jabīñ hai āsmāñ taḳhrīb par maa.il
rafīqān-e-safar meñ koī bismil hai koī ghā.el
ufuq par zindagī ke lashkar-e-zulmat kā Derā hai
havādis ke qayāmat-ḳhez tūfānoñ ne gherā hai
charāġh-e-dair fānūs-e-haram qindīl-e-rahbānī
ye sab haiñ muddatoñ se be-niyāz-e-nūr-e-irfānī
talātum-ḳhez dariyā aag ke maidān haa.el haiñ
garajtī āñdhiyāñ biphre hue tūfān haa.el haiñ
fazā meñ sho.ala-afshāñ dev-e-istibdād kā ḳhanjar
siyāsat kī sanāneñ ahl-e-zar ke ḳhūñ-chakāñ tevar
badī par bārish-e-lutf-o-karam nekī pe ta.azīreñ
javānī ke hasīñ ḳhvāboñ kī haibatnāk ta.abīreñ
hukūmat ke mazāhir jañg ke pur-haul naqshe haiñ
kudāloñ ke muqābil top bandūqeñ haiñ neze haiñ
ufuq par jañg kā ḳhūnīñ sitāra jagmagātā hai
har ik jhoñkā havā kā maut kā paiġhām laatā hai
fanā ke āhanī vahshat-asar qadmoñ kī aahaT hai
dhuveñ kī badliyāñ haiñ goliyoñ kī sansanāhaT hai