Asrarul Haq Majaz

hamara jhanDa

Asrarul Haq Majaz

Rudauli, Uttar pradesh, India

1911-1955
sher haiñ chalte haiñ darrāte hue
bādaloñ kī tarah mañDlāte hue
zindagī kī rāgnī gaate hue
aaj jhanDā hai hamāre haath meñ
ham vo haiñ jo be-ruḳhī karte nahīñ
ham vo haiñ jo maut se Darte nahīñ
ham vo haiñ jo mar ke bhī marte nahīñ
aaj jhanDā hai hamāre haath meñ
chain se mahloñ meñ ham rahte nahīñ
aish kī gañgā meñ ham bahte nahīñ
bhed dushman se kabhī kahte nahīñ
aaj jhanDā hai hamāre haath meñ
jānte haiñ ek lashkar aa.egā
top dikhlā kar hameñ dhamkā.egā
par ye jhanDā bhī yūñhī lahrā.egā
aaj jhanDā hai hamāre haath meñ
kab bhalā dhamkī se ghabrāte haiñ ham
dil meñ jo hotā hai kah jaate haiñ ham
āsmāñ hiltā hai jab gaate haiñ ham
aaj jhanDā hai hamāre haath meñ
laakh lashkar aa.eñ kab hilte haiñ ham
āñdhiyoñ meñ jañg kī khilte haiñ ham
maut se hañs kar gale milte haiñ ham
aaj jhanDā hai hamāre haath meñ
Top Urdushayar.com