Asrarul Haq Majaz

lucknow

Asrarul Haq Majaz

Rudauli, Uttar pradesh, India

1911-1955
firdaus-e-husn-o-ishq hai dāmān-e-lucknow
āñkhoñ meñ bas rahe haiñ ġhazālān-e-lucknow
sabr-āzmā hai ġhamza-e-turkān-e-lucknow
rashk-e-zanān-e-misr kanīzān-e-lucknow
har samt ik hujūm-e-nigārān-e-lucknow
aur maiñ ki ek shoḳh-ġhazal-ḳhvān-e-lucknow
mutrib bhī hai sharāb bhī abr-e-bahār bhī
shīrāz ban gayā hai shabistān-e-lucknow
tole hue hai teġh-o-sināñ husn-e-be-naqāb
nāvak-fagan hai jalva-e-pinhān-e-lucknow
ik nau-bahār-e-nāz ko taake hai phir nigāh
vo nau-bahār-e-nāz ki hai jān-e-lucknow
dast-e-junūñ ko rokiye ye ḳhabt chhoḌiye
rusvā hai yūñhī chāk-e-garebān-e-lucknow
kuchh roz kā musāfir-o-mehmāñ huuñ aur kyā
kyuuñ bad-gumāñ hoñ yūsuf-e-kan.ān-e-lucknow
ab us ke ba.ad sub.h hai aur sub.h-e-nau 'majāz'
ham par hai ḳhatm shām-e-ġharībān-e-lucknow
Top Urdushayar.com