Asrarul Haq Majaz

etiraf

Asrarul Haq Majaz

Rudauli, Uttar pradesh, India

1911-1955
ab mire paas tum aa.ī ho to kyā aa.ī ho

maiñ ne maanā ki tum ik paikar-e-rānā.ī ho
chaman-e-dahr meñ rūh-e-chaman-ārā.ī ho
mujh se milne meñ ab andesha-e-rusvā.ī hai
maiñ ne ḳhud apne kiye kī ye sazā paa.ī hai
ḳhaak meñ aah milā.ī hai javānī maiñ ne
shola-zāroñ meñ jalā.ī hai javānī maiñ ne
husn ne jab bhī ināyat kī nazar Daalī hai
mere paimān-e-mohabbat ne sipar Daalī hai
un dinoñ mujh pe qayāmat kā junūñ taarī thā
sar pe sarshāri-e-ishrat kā junūñ taarī thā
bistar-e-maḳhmal-o-sanjāb thī duniyā merī
ek rañgīn o hasīñ ḳhvāb thī duniyā merī
jannat-e-shauq thī begāna-e-āfāt-e-sumūm
dard jab dard na ho kāvish-e-darmāñ mālūm
laila-e-nāz barafganda-naqāb aatī thī
apnī āñkhoñ meñ liye dāvat-e-ḳhvāb aatī thī
sañg ko gauhar-e-nāyāb-o-girāñ jaanā thā
dasht-e-pur-ḳhār ko firdaus-e-javāñ jaanā thā
merī har fatah meñ hai ek hazīmat pinhāñ
har masarrat meñ hai rāz-e-ġham-o-hasrat pinhāñ
kyā sunogī mirī majrūh javānī kī pukār
merī fariyād-e-jigar-doz mirā nāla-e-zār
vo gudāz-e-dil-e-marhūm kahāñ se lā.ūñ
ab maiñ vo jazba-e-māsūm kahāñ se lā.ūñ
mere saa.e se Daro tum mirī qurbat se Daro
apnī jur.at kī qasam ab merī jur.at se Daro
ab mire paas tum aa.ī ho to kyā aa.ī ho
Top Urdushayar.com