mujhe shikva nahīñ duniyā kī un zohra-jabīnoñ se
huī jin se na mere shauq-e-rusvā kī pazīrā.ī
mujhe shikva nahīñ un paak bātin nukta-chīnoñ se
lab-e-mojiz-numā ne jin ke mujh par aag barsā.ī
mujhe shikva nahīñ tahzīb ke un pāsbānoñ se
na lene dī jinhoñ ne fitrat-e-shā.ir ko añgḌā.ī
mujhe shikva nahīñ dair-o-haram ke āstānoñ se
vo jin ke dar pe kī hai muddatoñ maiñ ne jabīñ-sā.ī
mujhe shikva nahīñ uftādagān-e-aish-o-ishrat se
vo jin ko mere hāl-e-zār par aksar hañsī aa.ī
mujhe shikva nahīñ un sāhibān-e-jāh-o-sarvat se
nahīñ aatī mire hissa meñ jin kī ek bhī paa.ī
zamāne ke nizām-e-zañg-ālūda se shikva hai
qavānīn-e-kuhan ā.īn-e-farsūda se shikva hai