Asrarul Haq Majaz

parda aur ismat

Asrarul Haq Majaz

Rudauli, Uttar pradesh, India

1911-1955
jo zāhir na ho vo latāfat nahīñ hai
jo pinhāñ rahe vo sadāqat nahīñ hai
ye fitrat nahīñ hai mashiyyat nahīñ hai
koī aur shai hai ye ismat nahīñ hai
sabā aur gulistāñ se dāman kashīda
navā-e-fusūñ-ḳhez aur nā-shunīda
tajallī-e-ruḳhsār aur nā-damīda
koī aur shai hai ye ismat nahīñ hai
sar-e-rahguzar chhup-chhupā kar guzarnā
ḳhud apne hī jazbāt kā ḳhuun karnā
hijāboñ meñ jiinā hijāboñ meñ marnā
koī aur shai hai ye ismat nahīñ hai
ḳhayālāt-e-paiham meñ har vaqt gum-sum
dil-e-narm-o-nāzuk pe abr-e-tavahhum
bujhā sā tabassum ghuTā sā takallum
koī aur shai hai ye ismat nahīñ hai
vo ik kāhish-e-talḳh har aan dil meñ
vo shām-o-sahar ek ḳhaljān dil meñ
umañDtā huā ek tūfān dil meñ
koī aur shai hai ye ismat nahīñ hai
nigāhoñ kī dāvat ko pāmāl karnā
mazāq-e-latāfat ko pāmāl karnā
taqāzā-e-fitrat ko pāmāl karnā
koī aur shai hai ye ismat nahīñ hai
qasam anjum-e-shab ke zauq-e-safar kī
qasam tāzgī-e-nasīm-e-sahar kī
qasam āsmānoñ ke shams-o-qamar kī
koī aur shai hai ye ismat nahīñ hai
qasam shoḳhī-e-ishq sanjogtā kī
qasam june ke azm-e-sabr-āzmā kī
qasam tāhira kī qasam ḳhālida kī
koī aur shai hai ye ismat nahīñ hai
Top Urdushayar.com