Asrarul Haq Majaz

fikr

Asrarul Haq Majaz

Rudauli, Uttar pradesh, India

1911-1955
nahīñ har chand kisī gum-shuda jannat kī talāsh
ik na ik ḳhuld-e-tarab-nāk kā armāñ hai zarūr
miT ke barbād-e-jahāñ ho ke sabhī kuchh kho ke
baat kyā hai ki ziyāñ kā koī ehsās nahīñ
tāza-dam bhī huuñ magar phir ye taqāzā kyuuñ hai
haath rakh de mire māthe pe koī zohra-jabīñ
mah-vashoñ kā tarab-añgez tabassum kyā hai
hai to sab kuchh ye magar ḳhvāb asar kyuuñ ho jaa.e
maiñ ne sochā thā ki dushvār hai manzil apnī
ik hasīñ bāzu-e-sīmīñ kā sahārā bhī to hai
aag ko kis ne gulistāñ na banānā chāhā
jal bujhe kitne ḳhalīl aag gulistāñ na banī
ba-īñ in.ām-e-vafā uf ye taqāza-e-hayāt
zindagī vaqf-e-ġham-e-ḳhāk-nashīnañ kar de
Top Urdushayar.com