shahr kī raat aur maiñ nāshād o nākārā phirūñ
jagmagātī jāgtī saḌkoñ pe āvārā phirūñ
jhilmilāte qumqumoñ kī raah meñ zanjīr sī
raat ke hāthoñ meñ din kī mohnī tasvīr sī
ye rupahlī chhāñv ye ākāsh par tāroñ kā jaal
jaise suufī kā tasavvur jaise āshiq kā ḳhayāl
phir vo TuuTā ik sitāra phir vo chhūTī phul-jaḌī
jaane kis kī god meñ aa.ī ye motī kī laḌī
raat hañs hañs kar ye kahtī hai ki mai-ḳhāne meñ chal
phir kisī shahnāz-e-lāla-ruḳh ke kāshāne meñ chal
har taraf bikhrī huī rañgīniyāñ ra.anā.iyāñ
har qadam par ishrateñ letī huī añgḌā.iyāñ
rāste meñ ruk ke dam le luuñ mirī aadat nahīñ
lauT kar vāpas chalā jā.ūñ mirī fitrat nahīñ
muntazir hai ek tūfān-e-balā mere liye
ab bhī jaane kitne darvāze haiñ vā mere liye
jī meñ aatā hai ki ab ahd-e-vafā bhī toḌ duuñ
un ko pā saktā huuñ maiñ ye aasrā bhī toḌ duuñ
ik mahal kī aaḌ se niklā vo piilā māhtāb
jaise mullā kā amāma jaise baniye kī kitāb
dil meñ ik sho.ala bhaḌak uTThā hai āḳhir kyā karūñ
merā paimāna chhalak uTThā hai āḳhir kyā karūñ
jī meñ aatā hai ye murda chāñd taare noch luuñ
is kināre noch luuñ aur us kināre noch luuñ
muflisī aur ye mazāhir haiñ nazar ke sāmne
saikḌoñ sultān-e-jābir haiñ nazar ke sāmne
le ke ik chañgez ke hāthoñ se ḳhanjar toḌ duuñ
taaj par us ke damaktā hai jo patthar toḌ duuñ
baḌh ke us indar sabhā kā saaz o sāmāñ phūñk duuñ
us kā gulshan phūñk duuñ us kā shabistāñ phūñk duuñ