aaj kī raat aur baaqī hai
kal to jaanā hī hai safar pe mujhe
zindagī muntazir hai muñh phāḌe
do ghaḌī ḳhud ko shādmāñ kar leñ
aaj kī raat aur baaqī hai
chalne hī ko hai ik sumūm abhī
raqs-farmā hai rūh-e-barbādī
zauq-e-pinhāñ ko kāmrāñ kar leñ
aaj kī raat aur baaqī hai
ek paimāna-e-mai-e-sarjosh
lutf-e-guftār garmi-e-āġhosh
ruuh yaḳh-basta hai tapāñ kar leñ
aaj kī raat aur baaqī hai
ek do aur sāġhar-e-sarshār
phir to honā hī hai mujhe hoshiyār
kuchh tabī.at to ham ravāñ kar leñ
aaj kī raat aur baaqī hai
phir kahāñ ye hasīñ suhānī raat
ye farāġhat ye kaif ke lamhāt
aaj kī raat jāvedāñ kar leñ
aaj kī raat aur aaj kī raat