ruḳhsat ai ham-safaro shahr-e-nigār aa hī gayā
ḳhuld bhī jis pe ho qurbāñ vo dayār aa hī gayā
ye junūn-zār mirā mere ġhazāloñ kā jahāñ
merā najd aa hī gayā merā tatār aa hī gayā
aaj phir tā-ba-chaman dar-e-pai-e-gul-hā-e-chaman
gungunātā huā zambūr-e-bahār aa hī gayā
gesuoñ vāloñ meñ abrū ke kamān-dāroñ meñ
ek said aa hī gayā ek shikār aa hī gayā
bāġhbānoñ ko batāo gul-o-nasrīñ se kaho
ik ḳharāb-e-gul-o-nasrīn-e-bahār aa hī gayā
ḳhair-maqdam ko mire koī ba-hañgām-e-sahar
apnī āñkhoñ meñ liye shab kā ḳhumār aa hī gayā
zulf kā abr-e-siyah bāzū-e-sīmīñ pe liye
phir koī naġhma-zan-e-sāz-e-bahār aa hī gayā
ho ga.ī tishna-labī aaj rahīn-e-kausar
mere lab par lab-e-lālīn-e-nigār aa hī gayā