ik nayā paġhambar-e-amn-o-amāñ paidā huā
kārvāñ meñ ik amīr-e-kārvāñ paidā huā
ek ḳhizr-e-ahd-e-hāzir ik kalīm-e-ahd-e-nau
ek sadr-e-mahfil-e-rūhāniyāñ paidā huā
ik hudī-ḳhvān-e-mohabbat ik naqīb-e-ittihād
ik fidā-e-soz-e-nāqūs-o-azāñ paidā huā
haq kā saudā.ī haqīqat kā ilm khole hue
sidq kā shaidā safā kā pāsbāñ paidā huā
sar-ba-sar ik muzhda-e-taskīn-e-mardān-e-za.īf
quvvat-e-bāzū-e-yārān-e-javāñ paidā huā
is chaman kī sarzamīñ hai rū-kash-e-haft-āsmāñ
is chaman meñ tā.ir-e-arsh-āshiyāñ paidā huā
ik gul-e-tāza jo murjhā kar bhī murjhāyā nahīñ
safha-e-hastī pe naqsh-e-jāvedāñ paidā huā
ḳhuuñ se is ke aaj bhī gul-rañg hai ḳhāk-e-vatan
faḳhr-e-ālam nāzish-e-hindostāñ paidā huā