kār-farmā phir mirā zauq-e-ġhazal-ḳhvānī hai aaj
phir nafas kā sāz-e-garm-e-sho.ala-afshānī hai aaj
phir nigāh-e-shauq kī garmī hai aur rū-e-nigār
phir araq-ālūd ik kāfir kī peshānī hai aaj
phir mire lab par qasīde haiñ lab-o-ruḳhsār ke
phir kisī chehre pe tābānī sī tābānī hai aaj
husn is darja nashāt-e-husn meñ Duubā huā
añkhḌiyāñ be-ḳhud shamīm-e-zulf dīvānī hai aaj
larzish-e-lab meñ sharāb-o-sher kā tūfān hai
jumbish-e-mizhgāñ meñ afsūn-e-ġhazal-ḳhvānī hai aaj
vo nafas kī zamzama-sanjī nazar kī guftugū
sīna-e-ma.asūm meñ ik-tarfa tuġhyānī hai aaj
yaañ ba-īñ aalim ġhurūr-e-yūsufiyat bhī nahīñ
vaañ zuleḳhā.ī ba-azm-e-chāk-dāmānī hai aaj
vaañ ishāre haiñ bahak jaanā hī aish-e-hosh hai
hosh meñ rahnā yaqīnan saḳht nādānī hai aaj
kashmakash sī kashmakash meñ hai mazāq-e-āshiqī
kāmrāñ sī kāmrāñ har sa.ī-e-imkānī hai aaj
husn ke chehre pe hai nūr-e-sadāqat kī damak
ishq ke sar par kulāh-e-faḳhr-e-insānī hai aaj
shauq se mauqa-shanāsī kī tavaqqo bhī ġhalat
maiñ ne un kī shakl bhī mushkil se pahchānī hai aaj